Love


"Jo keh na sake"


jo keh na sake wo fasana yaad aata hai


guzra hua dilkash jamana yaad aata hai


jab husn se ishq takraya tha kabhi ghayal hua tha


ek parwana yaad aata hai


dil se mohabbat ke tufaan uthe the jab


aankhon ka sapne sajana yaad aata hai


kasturi jaise din mehakte the mere raaton ka


gungunana yaad aata hai


aankhon ka mil kar jhuk jana nahin


bhula hothon ka thar_tharana yaad aata hai


mera usko kankhiyon se dekhna baar baar


aur uska wo muskurana yaad aata hai


raaton ko tanha yaad mein kisiki...


dhuan udata ek deewana yaad aata hai.....



0 comments:

Post a Comment